ye bichhaDna to meri jaan bichhaDna na hua
ye bichhaḌnā to mirī jaan bichhaḌnā na huā
mil ke ro.e bhī nahīñ hashr bhī barpā na huā
ek vahshat sī rahī tujh se bichhaḌ kar dil meñ
lab-e-sākit se magar koī bhī shikva na huā
tujh ko pā kar bhī mukammal nahīñ ho paayā kabhī
aur maiñ tujh se bichhaḌ ke bhī adhūrā na huā
vahshat-e-ishq ne masrūf rakhā tujh meñ sadā
aur tujh ko kabhī mujh par hī bharosa na huā
jā.iye ham bhī ye taslīm kiye lete haiñ
ham ne dekhā thā koī ḳhvāb jo puurā na huā
ye bichhaDna to meri jaan bichhaDna na hua
mil ke roe bhi nahin hashr bhi barpa na hua
ek wahshat si rahi tujh se bichhaD kar dil mein
lab-e-sakit se magar koi bhi shikwa na hua
tujh ko pa kar bhi mukammal nahin ho paya kabhi
aur main tujh se bichhaD ke bhi adhura na hua
wahshat-e-ishq ne masruf rakha tujh mein sada
aur tujh ko kabhi mujh par hi bharosa na hua
jaiye hum bhi ye taslim kiye lete hain
hum ne dekha tha koi KHwab jo pura na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.