ye bujhe bujhe sitare ye dhuan dhuan sawera
ye bujhe bujhe sitāre ye dhuāñ dhuāñ saverā
kahīñ aabrū ko Das le na ye bāvlā añdherā
tirī naag naag zulfeñ kahīñ raam ho na jaa.eñ
ki uThā hai biin le ke zar-o-māl kā saperā
mire shīshamoñ kī chhāñv meñ haiñ dhuup ke Thikāne
mirī naddiyoñ kī lahroñ meñ hai aag kā baserā
vahīñ maiñ ne ārzūoñ ke hasīñ diye jalā.e
ki jahāñ sharāb pī kar mujhe āñdhiyoñ ne gherā
ai nasīm-zād jhoñkoñ kī hasīñ hasīñ kulelo!
zarā jhang rañg Tīloñ kī taraf bhī ek pherā
ye bujhe bujhe sitare ye dhuan dhuan sawera
kahin aabru ko Das le na ye bawla andhera
teri nag nag zulfen kahin ram ho na jaen
ki uTha hai bin le ke zar-o-mal ka sapera
mere shishamon ki chhanw mein hain dhup ke Thikane
meri naddiyon ki lahron mein hai aag ka basera
wahin main ne aarzuon ke hasin diye jalae
ki jahan sharab pi kar mujhe aandhiyon ne ghera
ai nasim-zad jhonkon ki hasin hasin kulelo!
zara jhang rang Tilon ki taraf bhi ek phera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.