ye canwas pe jo zard chehra bana rahe hain
ye canvas pe jo zard chehra banā rahe haiñ
tumheñ ḳhabar ho ḳhizāñ kā naqsha banā rahe haiñ
ajiib ghar hai jo tīliyoñ se banā huā hai
ham is meñ miTTī se ik parinda banā rahe haiñ
chhupā rahe haiñ baḌī mahārat se aib un kā
tabhī to chehre kā ek hissa banā rahe haiñ
havā.eñ kirneñ parind ḳhushbū guzar sakeñge
ise darīcha na samjho rasta banā rahe haiñ
banā rahe haiñ ham ek painting meñ ek paTrī
aur us meñ maazī kā ek lamha banā rahe haiñ
ye canwas pe jo zard chehra bana rahe hain
tumhein KHabar ho KHizan ka naqsha bana rahe hain
ajib ghar hai jo tiliyon se bana hua hai
hum is mein miTTi se ek parinda bana rahe hain
chhupa rahe hain baDi mahaarat se aib un ka
tabhi to chehre ka ek hissa bana rahe hain
hawaen kirnen parind KHushbu guzar sakenge
ise daricha na samjho rasta bana rahe hain
bana rahe hain hum ek painting mein ek paTri
aur us mein mazi ka ek lamha bana rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.