ye chand itna niDhaal kyun hai ye sochta hun
ye chāñd itnā niDhāl kyuuñ hai ye sochtā huuñ
ye chāñdnī ko zavāl kyuuñ hai ye sochtā huuñ
mujhe to us kā malāl thā vo judā huā thā
use bhī us kā malāl kyuuñ hai ye sochtā huuñ
agar judā.ī kī lazzateñ hī azīz-tar haiñ
to mujh ko fikr-e-visāl kyuuñ hai ye sochtā huuñ
mire fasāne avaam ko bhī pasand kyuuñ haiñ
tire karam kā kamāl kyuuñ hai ye sochtā huuñ
agar mohabbat meñ saare rishtoñ kī azmateñ haiñ
to dushmanī kā savāl kyuuñ hai ye sochtā huuñ
ye chand itna niDhaal kyun hai ye sochta hun
ye chandni ko zawal kyun hai ye sochta hun
mujhe to us ka malal tha wo juda hua tha
use bhi us ka malal kyun hai ye sochta hun
agar judai ki lazzaten hi aziz-tar hain
to mujh ko fikr-e-visal kyun hai ye sochta hun
mere fasane awam ko bhi pasand kyun hain
tere karam ka kamal kyun hai ye sochta hun
agar mohabbat mein sare rishton ki azmaten hain
to dushmani ka sawal kyun hai ye sochta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.