ye chand jo bachchon ka khilauna hai meri dost
ye chāñd jo bachchoñ kā khilaunā hai mirī dost
kho jā.egā is baat kā ronā hai mirī dost
ye zardī-e-ruḳhsār na miTTī meñ milegī
ye zardī-e-ruḳhsār to sonā hai mirī dost
chal baaġh meñ rote haiñ gulāboñ se lipaT kar
ghar meñ bhī to takiya hī bhigonā hai mirī dost
maujūd bhī aise huuñ ki maujūd nahīñ huuñ
sābit mire hone se na honā hai mirī dost
dhartī ne bhī sote meñ hameñ zaḳhm diye haiñ
ye sej bhī kāñToñ kā bichhaunā hai mirī dost
auroñ kī tarah mujh se bichhaḌ jā.egā vo bhī
honā hai kisī roz ye honā hai mirī dost
ye chand jo bachchon ka khilauna hai meri dost
kho jaega is baat ka rona hai meri dost
ye zardi-e-ruKHsar na miTTi mein milegi
ye zardi-e-ruKHsar to sona hai meri dost
chal bagh mein rote hain gulabon se lipaT kar
ghar mein bhi to takiya hi bhigona hai meri dost
maujud bhi aise hun ki maujud nahin hun
sabit mere hone se na hona hai meri dost
dharti ne bhi sote mein hamein zaKHm diye hain
ye sej bhi kanTon ka bichhauna hai meri dost
auron ki tarah mujh se bichhaD jaega wo bhi
hona hai kisi roz ye hona hai meri dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.