ye chamak dhul mein tahlil bhi ho sakti hai
ye chamak dhuul meñ tahlīl bhī ho saktī hai
kā.enāt ik na.ī tashkīl bhī ho saktī hai
tum na samjhoge koī aur samajh legā ise
ḳhāmushī dard kī tarsīl bhī ho saktī hai
kuchh sambhal kar raho un saada mulāqātoñ meñ
dostī ishq meñ tabdīl bhī ho saktī hai
maiñ adhūrā huuñ magar ḳhud ko adhūrā na samajh
mujh se mil kar tirī takmīl bhī ho saktī hai
kāTnā raat kā āsān bhī ho saktā hai
dil meñ ik yaad kī qindīl bhī ho saktī hai
is qadar bhī na baḌho dāman-e-dil kī jānib
ye mohabbat koī tamsīl bhī ho saktī hai
haañ dil-o-jān fidā karda 'zahīr' us pe magar
ye bhī imkān hai tazlīl bhī ho saktī hai
ye chamak dhul mein tahlil bhi ho sakti hai
kaenat ek nai tashkil bhi ho sakti hai
tum na samjhoge koi aur samajh lega ise
KHamushi dard ki tarsil bhi ho sakti hai
kuchh sambhal kar raho un sada mulaqaton mein
dosti ishq mein tabdil bhi ho sakti hai
main adhura hun magar KHud ko adhura na samajh
mujh se mil kar teri takmil bhi ho sakti hai
kaTna raat ka aasan bhi ho sakta hai
dil mein ek yaad ki qindil bhi ho sakti hai
is qadar bhi na baDho daman-e-dil ki jaanib
ye mohabbat koi tamsil bhi ho sakti hai
han dil-o-jaan fida karda 'zahir' us pe magar
ye bhi imkan hai tazlil bhi ho sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.