ye dagh-e-hijr nahin miT saka jabin ka laga
ye dāġh-e-hijr nahīñ miT sakā jabīñ kā lagā
zamīñ kahīñ kī hai paivand hai kahīñ kā lagā
milā hai dasht hameñ justujū meñ manzil kī
gumāñ thā paañv meñ aur aabla yaqīñ kā lagā
hamārā nām-o-nasab ham se pūchhne vaale
lahū na is tarah dāman pe āstīñ kā lagā
uThā ke dosh pe ḳheme nikal paḌe ham log
zarā na ḳhauf hameñ ajnabī zamīñ kā lagā
ye dagh-e-hijr nahin miT saka jabin ka laga
zamin kahin ki hai paiwand hai kahin ka laga
mila hai dasht hamein justuju mein manzil ki
guman tha panw mein aur aabla yaqin ka laga
hamara nam-o-nasab hum se puchhne wale
lahu na is tarah daman pe aastin ka laga
uTha ke dosh pe KHeme nikal paDe hum log
zara na KHauf hamein ajnabi zamin ka laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.