ye dar-o-rasan zeb-e-gulu kaun karega
ye dār-o-rasan zeb-e-gulū kaun karegā
jān-o-jigar-o-dil ko lahū kaun karegā
takbīr sar-e-reg-e-ravāñk kaun kahegā
bahtā huā dariyā hai vuzū kaun karegā
le kaam mohabbat se ki ye fāteh-e-kul hai
be-ma.arka tasḳhīr-e-adū kaun karegā
ye qaht-e-damishq aur mudārāt-e-mohabba
bar-sabza-e-ḳhāk-o-lab-e-jū kaun karegā
bhīgī huī kirnoñ meñ ba-juz ġhuncha-e-mah-posh
us dast-e-hinā.ī meñ numū kaun karegā
rakh jā.egā tapte hue hoñToñ pe gulābī
jalte hue hāthoñ ko subū kaun karegā
ye dar-o-rasan zeb-e-gulu kaun karega
jaan-o-jigar-o-dil ko lahu kaun karega
takbir sar-e-reg-e-rawank kaun kahega
bahta hua dariya hai wuzu kaun karega
le kaam mohabbat se ki ye fateh-e-kul hai
be-marka tasKHir-e-adu kaun karega
ye qaht-e-damishq aur mudaraat-e-mohabba
bar-sabza-e-KHak-o-lab-e-ju kaun karega
bhigi hui kirnon mein ba-juz ghuncha-e-mah-posh
us dast-e-hinai mein numu kaun karega
rakh jaega tapte hue honTon pe gulabi
jalte hue hathon ko subu kaun karega
- Book : Bahar-e-ejaad (Pg. 116)
- Author : Sayed Ameen Ashraf
- Publication : Sayed Ameen Ashraf (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.