ye dard rahe dil mein ye zaKHm-e-wafa rakhna
ye dard rahe dil meñ ye zaḳhm-e-vafā rakhnā
allāh mohabbat kī khetī ko harā rakhnā
dastak bhī na de koī aur ghar meñ chalā aa.e
is tarah na tum dil kā darvāza khulā rakhnā
uljhegī to phir gutthī suljhā.e na suljhegī
jo bahs chhiḌe us kā qabze meñ sirā rakhnā
kartīñ bhī havā.eñ kyā fitrat ke munāfī thā
raushan kisī muflis kī kuTiyā meñ diyā rakhnā
maiñ ziist ke ḳhāke meñ bhar dūñgā lahū se rang
tum phuul se hāthoñ par tahrīr-e-hinā rakhnā
jis ne saf-e-bātil kī āñkheñ na chamakne diiñ
surme kī jagah us kī ḳhāk-e-kaf-e-pā rakhnā
'mas.ūd' ke hoñToñ par shikva na tirā aa.e
jis haal meñ bhī rakhnā rāzī-ba-razā rakhnā
ye dard rahe dil mein ye zaKHm-e-wafa rakhna
allah mohabbat ki kheti ko hara rakhna
dastak bhi na de koi aur ghar mein chala aae
is tarah na tum dil ka darwaza khula rakhna
uljhegi to phir gutthi suljhae na suljhegi
jo bahs chhiDe us ka qabze mein sira rakhna
kartin bhi hawaen kya fitrat ke munafi tha
raushan kisi muflis ki kuTiya mein diya rakhna
main zist ke KHake mein bhar dunga lahu se rang
tum phul se hathon par tahrir-e-hina rakhna
jis ne saf-e-baatil ki aankhen na chamakne din
surme ki jagah us ki KHak-e-kaf-e-pa rakhna
'masud' ke honTon par shikwa na tera aae
jis haal mein bhi rakhna raazi-ba-raza rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.