ye dasht-e-shauq ka lamba safar achchha nahin lagta
ye dasht-e-shauq ka lamba safar achchha nahin lagta
Zafar Ansari Zafar
MORE BYZafar Ansari Zafar
ye dasht-e-shauq kā lambā safar achchhā nahīñ lagtā
magar Thahrūñ kahāñ koī shajar achchhā nahīñ lagtā
yahī ik baat ab maiñ sochtā rahtā huuñ ḳhalvat meñ
na jaane kyuuñ mujhe ab terā dar achchhā nahīñ lagtā
karam karte nahīñ kyuuñ tum mire qalb-e-shikasta par
mirā yuuñ ġham-zada rahnā agar achchhā nahīñ lagtā
nigāhoñ se jo ojhal us gul-e-ra.anā kā jalva hai
ye rañg-e-shām ye rang-e-sahar achchhā nahīñ lagtā
udhar vo bhī bichhaḌ ke ham se kho.e kho.e rahte haiñ
akelā mujh ko bhī rahnā idhar achchhā nahīñ lagtā
uThī hai jab se ye dīvār-e-nafrat dil ke āñgan meñ
mujhe ai dosto ḳhud apnā ghar achchhā nahīñ lagtā
ye dasht-e-shauq ka lamba safar achchha nahin lagta
magar Thahrun kahan koi shajar achchha nahin lagta
yahi ek baat ab main sochta rahta hun KHalwat mein
na jaane kyun mujhe ab tera dar achchha nahin lagta
karam karte nahin kyun tum mere qalb-e-shikasta par
mera yun gham-zada rahna agar achchha nahin lagta
nigahon se jo ojhal us gul-e-rana ka jalwa hai
ye rang-e-sham ye rang-e-sahar achchha nahin lagta
udhar wo bhi bichhaD ke hum se khoe khoe rahte hain
akela mujh ko bhi rahna idhar achchha nahin lagta
uThi hai jab se ye diwar-e-nafrat dil ke aangan mein
mujhe ai dosto KHud apna ghar achchha nahin lagta
- Book : Mausam Badal Raha Hai (Pg. 132)
- Author : Zafar Ansari Zafar
- Publication : Educational Publishing House (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.