ye dast-e-naz mein KHat tarjuman kis ka hai
ye dast-e-nāz meñ ḳhat tarjumān kis kā hai
agar nahīñ hai tumhārā bayān kis kā hai
bisāt-e-arz basīt āsmān kis kā hai
hamāre dil meñ nihāñ ye jahān kis kā hai
ye phuuT phuuT ke rote haiñ kyuuñ dar-o-dīvār
makīn kaun thā is meñ makān kis kā hai
jahāñ tumhāre nishān-e-qadam nahīñ milte
mirā nahīñ hai agar vo makān kis kā hai
kalī kalī lab-e-goyā shajar shajar ḳhāmosh
ye dāstān hai kis kī bayān kis kā hai
ye kyuuñ salīb o salāsil banā.e jaate haiñ
tumhāre pesh-e-nazar imtihān kis kā hai
na dushmanī kī alāmat na dostī kā shu.ūr
tire paḌos meñ 'shātir' makān kis kā hai
ye dast-e-naz mein KHat tarjuman kis ka hai
agar nahin hai tumhaara bayan kis ka hai
bisat-e-arz basit aasman kis ka hai
hamare dil mein nihan ye jahan kis ka hai
ye phuT phuT ke rote hain kyun dar-o-diwar
makin kaun tha is mein makan kis ka hai
jahan tumhaare nishan-e-qadam nahin milte
mera nahin hai agar wo makan kis ka hai
kali kali lab-e-goya shajar shajar KHamosh
ye dastan hai kis ki bayan kis ka hai
ye kyun salib o salasil banae jate hain
tumhaare pesh-e-nazar imtihan kis ka hai
na dushmani ki alamat na dosti ka shuur
tere paDos mein 'shatir' makan kis ka hai
- Book : Palkon Ke diye (Pg. 68)
- Author : Shatir Hakeemi
- Publication : Hazrat Shatir Hakeemi urdu acadmy Kamti Zila Nagpur (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.