Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye dastak aur ye dar mera nahin hai

Shahnaz Parveen Sahar

ye dastak aur ye dar mera nahin hai

Shahnaz Parveen Sahar

MORE BYShahnaz Parveen Sahar

    ye dastak aur ye dar merā nahīñ hai

    ab is bastī meñ ghar merā nahīñ

    safar hai aur darpesh mujh ko

    ye musht-e-ḳhāk ghar merā nahīñ hai

    maiñ kis bārūd meñ bikhrī paḌī huuñ

    ye dhaḌ merā hai sar merā nahīñ hai

    mujhe mere havāle kar gayā hai

    to kyā hai vo agar merā nahīñ hai

    ye kis āñgan meñ jhuktā rahā hai

    shajar merā hai ghar merā nahīñ hai

    safar hai ḳhvāb meñ sahrā-e-jāñ

    magar vo ham-safar merā nahīñ hai

    maiñ kyoñ us kahānī ban ga.ī huuñ

    agar vo harf-gar merā nahīñ hai

    ajab aañch dil tak aa rahī hai

    ye shorīda sharar merā nahīñ hai

    shab-e-sajda jabīñ par jam gayā kyā

    ye dāġh-e-ishq gar merā nahīñ hai

    urūs-e-shām rotī phir rahī hai

    ye aañsū chashm-e-tar merā nahīñ hai

    jo mere saath chaltā rahā hai

    vo saaya hai magar merā nahīñ hai

    'sahar' ye aur duniyā hai koī

    yahāñ koī bhī Dar merā nahīñ hai

    ye dastak aur ye dar mera nahin hai

    ab is basti mein ghar mera nahin

    safar hai aur hi darpesh mujh ko

    ye musht-e-KHak ghar mera nahin hai

    main kis barud mein bikhri paDi hun

    ye dhaD mera hai sar mera nahin hai

    mujhe mere hawale kar gaya hai

    to kya hai wo agar mera nahin hai

    ye kis aangan mein jhukta ja raha hai

    shajar mera hai ghar mera nahin hai

    safar hai KHwab mein sahra-e-jaan ka

    magar wo ham-safar mera nahin hai

    main kyon us ki kahani ban gai hun

    agar wo harf-gar mera nahin hai

    ajab si aanch dil tak aa rahi hai

    ye shorida sharar mera nahin hai

    shab-e-sajda jabin par jam gaya kya

    ye dagh-e-ishq gar mera nahin hai

    urus-e-sham roti phir rahi hai

    ye aansu chashm-e-tar mera nahin hai

    jo mere sath chalta ja raha hai

    wo saya hai magar mera nahin hai

    'sahar' ye aur hi duniya hai koi

    yahan koi bhi Dar mera nahin hai

    Source :
    • Book : Word File Mail By Salim Saleem
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now