Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye daur mujhse KHirad ka waqar mange hai

Aale Ahmad Suroor

ye daur mujhse KHirad ka waqar mange hai

Aale Ahmad Suroor

MORE BYAale Ahmad Suroor

    ye daur mujh se ḳhirad vaqār māñge hai

    dil ab bhī shauq ke lail-o-nahār māñge hai

    jahāñ meñ kis ko gavārā huī hai fikr dhuup

    har ik, koī shajar-e-sāya-dār māñge hai

    zabān lāla-o-gul meñ basī huī hai magar

    zamāna lafz meñ ḳhanjar dhaar māñge hai

    akele-pan ye ehsās ham-nafas talāsh

    baḌhī huī jo ye talḳhī hai pyaar māñge hai

    ye aadmī mire ḳhvāboñ saath kyā detā

    haqīqatoñ se jo aksar farār māñge hai

    ab in meñ apnā lahū ho ki koī shoḳh kiran

    varaq jo saada hai naqsh-o-nigār māñge hai

    huā kahāñ abhī sadiyoñ ke jabr se āzād

    ḳhudā.ī par jo bashar iḳhtiyār māñge hai

    bhikāriyoñ ko yahāñ bhiik kaun detā hai

    hai sāda-lauh jo duniyā se pyaar māñge hai

    vo dīda-var jise pahchāntī nahīñ mahfil

    tirī nazar se faqat e'tibār māñge hai

    ye daur mujh se KHirad ka waqar mange hai

    dil ab bhi shauq ke lail-o-nahaar mange hai

    jahan mein kis ko gawara hui hai fikr ki dhup

    har ik, koi shajar-e-saya-dar mange hai

    zaban lala-o-gul mein basi hui hai magar

    zamana lafz mein KHanjar ki dhaar mange hai

    akele-pan ka ye ehsas ham-nafas ki talash

    baDhi hui jo ye talKHi hai pyar mange hai

    ye aadmi mere KHwabon ka sath kya deta

    haqiqaton se jo aksar farar mange hai

    ab in mein apna lahu ho ki koi shoKH kiran

    waraq jo sada hai naqsh-o-nigar mange hai

    hua kahan abhi sadiyon ke jabr se aazad

    KHudai par jo bashar iKHtiyar mange hai

    bhikariyon ko yahan bhik kaun deta hai

    hai sada-lauh jo duniya se pyar mange hai

    wo dida-war jise pahchanti nahin mahfil

    teri nazar se faqat e'tibar mange hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now