ye daur wo hai ki jis ka nasab nahin koi
ye daur vo hai ki jis kā nasab nahīñ koī
udaas huuñ to bahut huuñ sabab nahīñ koī
vo jis meñ yādoñ ke raushan charāġh jalte haiñ
bahut sī rāteñ haiñ lekin vo sab nahīñ koī
gavāh thā jo hamārī tumhārī chāhat kā
shajar vo ab bhī vahāñ hai aur ab nahīñ koī
isī umiid pe raushan hai ḳhvāhishoñ kā nagar
vo aa bhī jaa.e palaT kar ajab nahīñ koī
use sunā hai ki ab zindagī mubārak hai
hameñ bhī saare jahāñ se talab nahīñ koī
ye daur wo hai ki jis ka nasab nahin koi
udas hun to bahut hun sabab nahin koi
wo jis mein yaadon ke raushan charagh jalte hain
bahut si raaten hain lekin wo sab nahin koi
gawah tha jo hamari tumhaari chahat ka
shajar wo ab bhi wahan hai aur ab nahin koi
isi umid pe raushan hai KHwahishon ka nagar
wo aa bhi jae palaT kar ajab nahin koi
use suna hai ki ab zindagi mubarak hai
hamein bhi sare jahan se talab nahin koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.