ye dawa usne likhi hai meri bezari ki
ye davā us ne likhī hai mirī bezārī kī
'ishq hī āḳhirī ḳhurāk hai bīmārī kī
regzāroñ kī hathelī pe bhī gul-kārī kī
dasht meñ hijr nahīñ vasl kī tayyārī kī
raakh hote hue jangal ne batāyā āḳhir
ahmiyat kyā hai sulagtī huī chingārī kī
jis ne sar apnā nikālā huā patthar kā shikār
tum ne khiḌkī nahīñ kholī ye samajhdārī kī
ye dawa us ne likhi hai meri bezari ki
'ishq hi aaKHiri KHurak hai bimari ki
regzaron ki hatheli pe bhi gul-kari ki
dasht mein hijr nahin wasl ki tayyari ki
rakh hote hue jangal ne bataya aaKHir
ahmiyat kya hai sulagti hui chingari ki
jis ne sar apna nikala hua patthar ka shikar
tum ne khiDki nahin kholi ye samajhdari ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.