ye dhaDkanon ka tarannum fareb hi to nahin
ye dhaḌkanoñ kā tarannum fareb hī to nahīñ
kisī ne duur se āvāz mujh ko dī to nahīñ
tire baġhair bhī kaT jā.egī hayāt magar
ye ḳhud-farebi-e-ehsās zindagī to nahīñ
hazār tīra-o-tārīk rāh-e-manzil hai
kabhī na ḳhatm ho ye aisī tīrgī to nahīñ
isī meñ saare gulistāñ kī aag shāmil hai
ye sirf mere nasheman kī raushnī to nahīñ
bahut hasīn sahī terā ġham magar ai dost
maiñ sochtā huuñ tirā ġham hī zindagī to nahīñ
ye dhaDkanon ka tarannum fareb hi to nahin
kisi ne dur se aawaz mujh ko di to nahin
tere baghair bhi kaT jaegi hayat magar
ye KHud-farebi-e-ehsas zindagi to nahin
hazar tira-o-tarik rah-e-manzil hai
kabhi na KHatm ho ye aisi tirgi to nahin
isi mein sare gulistan ki aag shamil hai
ye sirf mere nasheman ki raushni to nahin
bahut hasin sahi tera gham magar ai dost
main sochta hun tera gham hi zindagi to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.