ye dhanak ye shafaq ye mah-o-mehr ke raste
ye dhanak ye shafaq ye mah-o-mehr ke raste
Khursheed Afsar Baswani
MORE BYKhursheed Afsar Baswani
ye dhanak ye shafaq ye mah-o-mehr ke rāste
in se bhī kuchh hasīñ-tar tire shahr ke rāste
yaad hai aaj tak hijr kī vo shab-e-avvalīñ
vādiyāñ vo qayāmat kī vo qahr ke rāste
zehn meñ yak-ba-yak terī yādoñ ke paT khul ga.e
tang hone lage mujh pe jab dahr ke rāste
ik havā ke thapeḌe ne aisā uchhālā ki bas
the jo pur-shor dariyāoñ meñ lahr ke rāste
ai siyah saañp shab mujh ko Dasnā pa ye soch le
log amrit bhī piite rahe zahr ke rāste
fikr apnī bhī jū-e-ravāñ hai magar is tarah
jaise sunsān sahrāoñ meñ nahr ke rāste
kuchh dinoñ se tumheñ āḳhir 'afsar' ye kyā ho gayā
bhuul jaate ho tum apne hī shahr ke rāste
ye dhanak ye shafaq ye mah-o-mehr ke raste
in se bhi kuchh hasin-tar tere shahr ke raste
yaad hai aaj tak hijr ki wo shab-e-awwalin
wadiyan wo qayamat ki wo qahr ke raste
zehn mein yak-ba-yak teri yaadon ke paT khul gae
tang hone lage mujh pe jab dahr ke raste
ek hawa ke thapeDe ne aisa uchhaala ki bas
the jo pur-shor dariyaon mein lahr ke raste
ai siyah sanp shab mujh ko Dasna pa ye soch le
log amrit bhi pite rahe zahr ke raste
fikr apni bhi ju-e-rawan hai magar is tarah
jaise sunsan sahraon mein nahr ke raste
kuchh dinon se tumhein aaKHir 'afsar' ye kya ho gaya
bhul jate ho tum apne hi shahr ke raste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.