Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye dhoka ho na ho ummid hi malum hoti hai

Kaifi Chirayyakoti

ye dhoka ho na ho ummid hi malum hoti hai

Kaifi Chirayyakoti

MORE BYKaifi Chirayyakoti

    ye dhokā ho na ho ummīd ma.alūm hotī hai

    ki mujh ko duur se kuchh raushnī ma.alūm hotī hai

    ḳhudā jaane kis andāz-e-nazar se tum ne dekhā hai

    ki mujh ko zindagī ab zindagī ma.alūm hotī hai

    isī naam shāyad zindagī ne yaas rakkhā hai

    nafas jo khaTak hai āḳhirī ma.alūm hotī hai

    huā hai husn se kuchh aur aks-e-husn-e-ḳhud-dārī

    ḳhamoshī un ke hoñToñ par hañsī ma.alūm hotī hai

    na aayā haath mere baḌh ke jo dāman ināyat

    ye mahrūmī talab kuchh kamī ma.alūm hotī hai

    jhukāyā aaj dar par ai zahe baḳht-e-sar-afrāzī

    tirī rahmat qubūl-e-bandagī ma.alūm hotī hai

    tujhe apne liye dast-e-karam ye jāntā huuñ maiñ

    ki hai jis qadar duniyā vahī ma.alūm hotī hai

    kahāñ huuñ kis taraf huuñ maiñ ḳhabar is nahīñ mujh ko

    yahī gum-gashtagī kuchh āgahī ma.alūm hotī hai

    sar-e-mauj nafas kashtī-e-dil ko kyā kahūñ 'kaifī'

    ubhartī hai jahāñ tak Dūbtī ma.alūm hotī hai

    ye dhoka ho na ho ummid hi malum hoti hai

    ki mujh ko dur se kuchh raushni malum hoti hai

    KHuda jaane kis andaz-e-nazar se tum ne dekha hai

    ki mujh ko zindagi ab zindagi malum hoti hai

    isi ka nam shayad zindagi ne yas rakkha hai

    nafas ki jo khaTak hai aaKHiri malum hoti hai

    hua hai husn se kuchh aur aks-e-husn-e-KHud-dari

    KHamoshi un ke honTon par hansi malum hoti hai

    na aaya hath mere baDh ke jo daman inayat ka

    ye mahrumi talab ki kuchh kami malum hoti hai

    jhukaya aaj dar par ai zahe baKHt-e-sar-afraazi

    teri rahmat qubul-e-bandagi malum hoti hai

    tujhe apne liye dast-e-karam ye jaanta hun main

    ki tu hai jis qadar duniya wahi malum hoti hai

    kahan hun kis taraf hun main KHabar is ki nahin mujh ko

    yahi gum-gashtagi kuchh aagahi malum hoti hai

    sar-e-mauj nafas kashti-e-dil ko kya kahun 'kaifi'

    ubharti hai jahan tak Dubti malum hoti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now