ye dhoka ho na ho ummid hi malum hoti hai
ye dhokā ho na ho ummīd hī mālūm hotī hai
ki mujh ko duur se kuchh raushnī mālūm hotī hai
ḳhudā jaane kis andāz-e-nazar se tum ne dekhā hai
ki mujh ko zindagī ab zindagī mālūm hotī hai
isī kā naam shāyad zindagī ne yaas rakhā hai
nafas kī jo khaTak hai āḳhirī mālūm hotī
huā hai husn se kuchh aur aks-e-husn-e-ḳhuddārī
ḳhamoshī un ke hoñToñ par hañsī mālūm hotī hai
na aayā haath mere baḌh ke jo dāman ināyat kā
ye mahrūmī talab kī kuchh kamī mālūm hotī hai
jhukāyā aaj dar par ai zahe baḳht-e-sar-afrāzī
tirī rahmat qubūl-e-bandagī mālūm hotī hai
tujhe apne liye dast-e-karam ye jāntā huuñ maiñ
ki tū hai jis qadar duniyā vahī mālūm hotī hai
kahāñ huuñ kis taraf huuñ maiñ ḳhabar is kī nahīñ mujh ko
yahī gum-gashtagī kuchh āgahī mālūm hotī hai
sar-e-mauj-e-nafas kashti-e-dil ko kyā kahūñ 'kaifī'
ubhartī hai jahāñ tak Dūbtī ma.alūm hotī hai
ye dhoka ho na ho ummid hi malum hoti hai
ki mujh ko dur se kuchh raushni malum hoti hai
KHuda jaane kis andaz-e-nazar se tum ne dekha hai
ki mujh ko zindagi ab zindagi malum hoti hai
isi ka nam shayad zindagi ne yas rakha hai
nafas ki jo khaTak hai aaKHiri malum hoti
hua hai husn se kuchh aur aks-e-husn-e-KHuddari
KHamoshi un ke honTon par hansi malum hoti hai
na aaya hath mere baDh ke jo daman inayat ka
ye mahrumi talab ki kuchh kami malum hoti hai
jhukaya aaj dar par ai zahe baKHt-e-sar-afraazi
teri rahmat qubul-e-bandagi malum hoti hai
tujhe apne liye dast-e-karam ye jaanta hun main
ki tu hai jis qadar duniya wahi malum hoti hai
kahan hun kis taraf hun main KHabar is ki nahin mujh ko
yahi gum-gashtagi kuchh aagahi malum hoti hai
sar-e-mauj-e-nafas kashti-e-dil ko kya kahun 'kaifi'
ubharti hai jahan tak Dubti malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.