ye dhup giri hai jo mere lawn mein aa kar
ye dhuup girī hai jo mire lawn meñ aa kar
le jā.egī jaldī hī ise shaam uThā kar
siine meñ chhupā shaam kī āñkhoñ se bachā kar
ik lahr ko ham laa.e samundar se uThā kar
haañ vaqt se pahle hī uḌā degī ise sub.h
rakkhī na ga.ī chāñd se gar shab ye dabā kar
ik sub.h bhalī sī mire nazdīk se guzrī
maiñ baiThā rahā hijr kī ik raat bichhā kar
phir sub.h se hī aaj alam dekh rahe haiñ
yādoñ kī koī film mire dil meñ chalā kar
phir chaa.e meñ biscuit kī tarah bhūkī sī ye shaam
khā jā.egī sūraj ko samundar meñ Dubā kar
ye dhup giri hai jo mere lawn mein aa kar
le jaegi jaldi hi ise sham uTha kar
sine mein chhupa sham ki aankhon se bacha kar
ek lahr ko hum lae samundar se uTha kar
han waqt se pahle hi uDa degi ise subh
rakkhi na gai chand se gar shab ye daba kar
ek subh bhali si mere nazdik se guzri
main baiTha raha hijr ki ek raat bichha kar
phir subh se hi aaj alam dekh rahe hain
yaadon ki koi film mere dil mein chala kar
phir chae mein biscuit ki tarah bhuki si ye sham
kha jaegi suraj ko samundar mein Duba kar
- Book : Chand Dinner per Baitha Hai (Pg. 56)
- Author : Swapnil Tiwari
- Publication : Anybook, Gurgaon (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.