ye dil bhi dub gaya siDhiyan utarte hue
ye dil bhī duub gayā sīḌhiyāñ utarte hue
sunī na koī sadā sīḌhiyāñ utarte hue
ḳhushī ḳhushī maiñ tujhe chhoḌ kar to aaya magar
bahut udaas huā sīḌhiyāñ utarte hue
kahīñ ye terī sikhā.ī huī to aa.ī nahīñ
ulajh rahī hai havā sīḌhiyāñ utarte hue
use bhī tark-e-ta.alluq kā ho koī ehsās
vo lauT aa.e ḳhudā sīḌhiyāñ utarte hue
vo ab galī meñ kahīñ ġham-zada khaḌā huā hai
jo hañs rahā thā baḌā sīḌhiyāñ utarte hue
ye dil bhi dub gaya siDhiyan utarte hue
suni na koi sada siDhiyan utarte hue
KHushi KHushi main tujhe chhoD kar to aaya magar
bahut udas hua siDhiyan utarte hue
kahin ye teri sikhai hui to aai nahin
ulajh rahi hai hawa siDhiyan utarte hue
use bhi tark-e-talluq ka ho koi ehsas
wo lauT aae KHuda siDhiyan utarte hue
wo ab gali mein kahin gham-zada khaDa hua hai
jo hans raha tha baDa siDhiyan utarte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.