ye dil bhi zaKHm hai wo gul bhi ghaw rakhta hai
ye dil bhī zaḳhm hai vo gul bhī ghaav rakhtā hai
tamām shahr talab kā tanāv rakhtā hai
shikasta shāḳh ho tum bārishoñ ko do na sadā
nasheb ab ke ġhazab kā bahāv rakhtā hai
qarīb hai to qarīb aa.e duur hai to rahe
ye kyā ki paas bhī hai aur khichāv rakhtā hai
vo mo'atabar bhī hameñ kar gayā sipurd-e-havā
ye mehrbān bhī maujoñ kī naav rakhtā hai
dikhā ke ḳhvāb mujhe niiñd se jagātā hai
mujhe bigāḌ ke apnā banāv rakhtā hai
'atā' se baat karo chāñdnī sī shabnam sī
ḳhunuk nazar hai magar dil alaav rakhtā hai
ye dil bhi zaKHm hai wo gul bhi ghaw rakhta hai
tamam shahr talab ka tanaw rakhta hai
shikasta shaKH ho tum barishon ko do na sada
nasheb ab ke ghazab ka bahaw rakhta hai
qarib hai to qarib aae dur hai to rahe
ye kya ki pas bhi hai aur khichaw rakhta hai
wo mo'atabar bhi hamein kar gaya sipurd-e-hawa
ye mehrban bhi maujon ki naw rakhta hai
dikha ke KHwab mujhe nind se jagata hai
mujhe bigaD ke apna banaw rakhta hai
'ata' se baat karo chandni si shabnam si
KHunuk nazar hai magar dil alaw rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.