ye dil hai ab tumhaara bolte hain
ye dil hai ab tumhārā bolte haiñ
zarā sun lo dobāra bolte haiñ
vahāñ par log pyāse mar rahe haiñ
chalo paanī kā na.ara bolte haiñ
amānat tum kisī kī ho magar sab
tumheñ ab tak hamārā bolte haiñ
jo jugnū ham ne Tāñkā thā falak par
usī ko log taarā bolte haiñ
ki ham tum haiñ mohabbat meñ jahāñ par
hameñ sab vīr-zārā bolte haiñ
unheñ koī samundar kyā Dubo.e
bhañvar ko jo kinārā bolte haiñ
ye dil hai ab tumhaara bolte hain
zara sun lo dobara bolte hain
wahan par log pyase mar rahe hain
chalo pani ka nara bolte hain
amanat tum kisi ki ho magar sab
tumhein ab tak hamara bolte hain
jo jugnu hum ne Tanka tha falak par
usi ko log tara bolte hain
ki hum tum hain mohabbat mein jahan par
hamein sab wir-zara bolte hain
unhen koi samundar kya Duboe
bhanwar ko jo kinara bolte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.