ye dil har ek nai koshish pe yun dhaDakta hai
ye dil har ik na.ī koshish pe yuuñ dhaḌaktā hai
ki jaise koī natīja nikalne vaalā hai
hameñ ḳhabar hai ki hai kaun kitne paanī meñ
ye shahr sat.h-e-samandar se kitnā ūñchā hai
sarāb pyaas bujhātā nahīñ kabhī lekin
ye baat ḳhuub samajhtā hai kaun pyāsā hai
tumhāre haath meñ taqdīr hai ujāloñ kī
charāġh ko ye ḳhabar kyā kahāñ añdherā hai
sunā.ī detī hai ab sirf āñsuoñ kī sadā
nigāh par bhī ka.ī din se saḳht pahrā hai
na dostī hī ko parkhā na dushmanī ko 'shakīl'
magar ye kis ne kahā tajraba adhūrā hai
ye dil har ek nai koshish pe yun dhaDakta hai
ki jaise koi natija nikalne wala hai
hamein KHabar hai ki hai kaun kitne pani mein
ye shahr sath-e-samandar se kitna uncha hai
sarab pyas bujhata nahin kabhi lekin
ye baat KHub samajhta hai kaun pyasa hai
tumhaare hath mein taqdir hai ujalon ki
charagh ko ye KHabar kya kahan andhera hai
sunai deti hai ab sirf aansuon ki sada
nigah par bhi kai din se saKHt pahra hai
na dosti hi ko parkha na dushmani ko 'shakil'
magar ye kis ne kaha tajraba adhura hai
- Book : Tarkash (Pg. 22)
- Author : Shakeel Gwaliory
- Publication : Madhya Pradesh Urdu Academy (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.