ye dil hi jalwa-gah hai us KHush-KHiram ka
ye dil hi jalwa-gah hai us KHush-KHiram ka
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
MORE BYGulam Yahya Huzur Azimabadi
ye dil hī jalva-gāh hai us ḳhush-ḳhirām kā
dekhā to sirf naam hai bait-ul-harām kā
mā'nī meñ lafz ek hai ye rabb-o-rām kā
hāsil ye hai ki hai vahī hāsil kalām kā
dekhā to sab haqīqat-o-ma.anī meñ ek haiñ
sūrat meñ garche farq hai aapas meñ naam kā
us lā-makāñ kā koī muayyan nahīñ makāñ
gar hai to dil Thikānā hai us ke maqām kā
masrūr terī mai se ik aalam hai sāqiyā
ummīd-vār maiñ bhī huuñ do ek jaam kā
āġhāz-e-ishq meñ gayā dil haath se mire
anjām kyā ho dekhiye ab mere kaam kā
lete haiñ chuur karne ko hī sang-dil huzūr
kyā hai vagarna shīsha-e-dil un ke kaam kā
ye dil hi jalwa-gah hai us KHush-KHiram ka
dekha to sirf nam hai bait-ul-haram ka
ma'ni mein lafz ek hai ye rabb-o-ram ka
hasil ye hai ki hai wahi hasil kalam ka
dekha to sab haqiqat-o-mani mein ek hain
surat mein garche farq hai aapas mein nam ka
us la-makan ka koi muayyan nahin makan
gar hai to dil Thikana hai us ke maqam ka
masrur teri mai se ek aalam hai saqiya
ummid-war main bhi hun do ek jam ka
aaghaz-e-ishq mein gaya dil hath se mere
anjam kya ho dekhiye ab mere kaam ka
lete hain chur karne ko hi sang-dil huzur
kya hai wagarna shisha-e-dil un ke kaam ka
- Dewan-e-Huzoor (E-Book)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.