ye dil jab se mohabbat mein laga hai
ye dil jab se mohabbat meñ lagā hai
ye lagtā hai yahāñ rahtā ḳhudā hai
gumāñ hotā hai us ke tajraboñ se
vo apnī 'umr se shāyad baḌā hai
ye sahrā meñ jo būñdeñ gir rahī haiñ
kisī mā'sūm bachche kī du'ā hai
december hijr aadhī raat yādeñ
fazā kā zarra zarra kāñptā hai
ham un āñkhoñ meñ kuchh is tarh Duube
nadī meñ koī jaise Dūbtā hai
pahāḌoñ par utartī dhuup dekho
gale mahbūb jaise mil rahā hai
ye dil jab se mohabbat mein laga hai
ye lagta hai yahan rahta KHuda hai
guman hota hai us ke tajrabon se
wo apni 'umr se shayad baDa hai
ye sahra mein jo bunden gir rahi hain
kisi ma'sum bachche ki du'a hai
december hijr aadhi raat yaaden
faza ka zarra zarra kanpta hai
hum un aankhon mein kuchh is tarh Dube
nadi mein koi jaise Dubta hai
pahaDon par utarti dhup dekho
gale mahbub jaise mil raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.