ye dil jo muztarib rahta bahut hai
ye dil jo muztarib rahtā bahut hai
koī is dasht meñ taḌpā bahut hai
koī is raat ko Dhalne se roke
mirā qissa abhī rahtā bahut hai
bahut hī tañg huuñ āñkhoñ ke hāthoñ
ye dariyā aaj kal bahtā bahut hai
ba-vaqt-e-shām ikaTThe Dūbte haiñ
dil aur sūraj meñ yārāna bahut hai
bahut hī raas hai sahrā lahū ko
ki sahrā meñ lahū ugtā bahut hai
mubārak us ko us ke tar nivāle
mujhe sūkhā huā TukḌā bahut hai
bayāz is vāste ḳhālī hai merī
mujhe aflās ne bechā bahut hai
butoñ kā naam bhī paḌhtā hai 'be-dil'
ḳhudā kā naam bhī letā bahut hai
ye dil jo muztarib rahta bahut hai
koi is dasht mein taDpa bahut hai
koi is raat ko Dhalne se roke
mera qissa abhi rahta bahut hai
bahut hi tang hun aankhon ke hathon
ye dariya aaj kal bahta bahut hai
ba-waqt-e-sham ikaTThe Dubte hain
dil aur suraj mein yarana bahut hai
bahut hi ras hai sahra lahu ko
ki sahra mein lahu ugta bahut hai
mubarak us ko us ke tar niwale
mujhe sukha hua TukDa bahut hai
bayaz is waste KHali hai meri
mujhe aflas ne becha bahut hai
buton ka nam bhi paDhta hai 'be-dil'
KHuda ka nam bhi leta bahut hai
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 65)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.