ye dil jo paikar-e-sad-nur tha ab tirgi mein besh-o-kam milta hai mujhko

ye dil jo paikar-e-sad-nur tha ab tirgi mein besh-o-kam milta hai mujhko
Yawar Azeem
MORE BYYawar Azeem
ye dil jo paikar-e-sad-nūr thā ab tīrgī meñ besh-o-kam miltā hai mujh ko
yahī vo Dūbtā bujhtā sitāra hai jo apnā ham-qadam miltā hai mujh ko
koī lamha nahīñ aatā tarab-zār-e-tamanna meñ lahaktā gungunātā
jise āvāz detā huuñ vo auroñ kī tarah mā.il-ba-ram miltā hai mujh ko
yūñhī ghuT ghuT ke jiine par mujhe uksā rahe haiñ dekhiye hālāt mere
maiñ jitnā ġham se bachnā chāhtā thā dosto utnā hī ġham miltā hai mujh ko
musalsal ek mahrūmī kā bādal hai jo kitne hī gharoñ par chhā gayā hai
ab un āñkhoñ kī qillat ho ga.ī hai jin meñ sairābī kā nam miltā hai mujh ko
hazāroñ phuul se paikar ma’āshī dhuup meñ kumhlā ga.e haiñ dekh liije
maiñ jis duniyā meñ rahtā huuñ vahāñ har shaḳhs ātish-dar-shikam miltā hai mujh ko
kisī kā ḳhush-tamāzat lams shab Dhalte hī lagtā hai adhūre ḳhvāb jaisā
'ajab ik sard sā mausam hai jo apne lahū meñ sub.h-dam miltā hai mujh ko
ye lagtā hai kisī ġhaflat-zada lamhe meñ mujh ko maar Dāleñge havādis
maiñ jin rastoñ meñ huuñ 'yāvar' vahāñ aksar halākat-ḳhez ḳham miltā hai mujh ko
ye dil jo paikar-e-sad-nur tha ab tirgi mein besh-o-kam milta hai mujh ko
yahi wo Dubta bujhta sitara hai jo apna ham-qadam milta hai mujh ko
koi lamha nahin aata tarab-zar-e-tamanna mein lahakta gungunata
jise aawaz deta hun wo auron ki tarah mail-ba-ram milta hai mujh ko
yunhi ghuT ghuT ke jine par mujhe uksa rahe hain dekhiye haalat mere
main jitna gham se bachna chahta tha dosto utna hi gham milta hai mujh ko
musalsal ek mahrumi ka baadal hai jo kitne hi gharon par chha gaya hai
ab un aankhon ki qillat ho gai hai jin mein sairabi ka nam milta hai mujh ko
hazaron phul se paikar ma’ashi dhup mein kumhla gae hain dekh lije
main jis duniya mein rahta hun wahan har shaKHs aatish-dar-shikam milta hai mujh ko
kisi ka KHush-tamazat lams shab Dhalte hi lagta hai adhure KHwab jaisa
'ajab ek sard sa mausam hai jo apne lahu mein subh-dam milta hai mujh ko
ye lagta hai kisi ghaflat-zada lamhe mein mujh ko mar Dalenge hawadis
main jin raston mein hun 'yawar' wahan aksar halakat-KHez KHam milta hai mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.