ye dil ki pahle sa ab be-qarar hai bhi nahin
ye dil ki pahle sā ab be-qarār hai bhī nahīñ
mizāj pahle sā dīvāna-vār hai bhī nahīñ
koī janam jo dubāra milā to sochūñgā
ab is janam to terā intizār hai bhī nahīñ
siyāh āñkhoñ meñ ab tishnagī bhī kam-kam hai
ab us kī āñkhoñ meñ pahle sā pyaar hai bhī nahīñ
kabhī kabhī koī qatra Thahar bhale jaa.e
par aañkh pahle sī ab ashk-bār hai bhī nahīñ
tirī 'atā hai so le tū hī poñchh de aañsū
sivā.e tere koī ġham-gusār hai bhī nahīñ
ye dil ki pahle sa ab be-qarar hai bhi nahin
mizaj pahle sa diwana-war hai bhi nahin
koi janam jo dubara mila to sochunga
ab is janam to tera intizar hai bhi nahin
siyah aankhon mein ab tishnagi bhi kam-kam hai
ab us ki aankhon mein pahle sa pyar hai bhi nahin
kabhi kabhi koi qatra Thahar bhale jae
par aankh pahle si ab ashk-bar hai bhi nahin
teri 'ata hai so le tu hi ponchh de aansu
siwae tere koi gham-gusar hai bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.