ye dil machal gaya to hamara banega kya
ye dil machal gayā to hamārā banegā kyā
sūraj pighal gayā to hamārā banegā kyā
is dil meñ le ke baiThe haiñ kab se tumhārī yaad
ye dil hī jal gayā to hamārā banegā kyā
uljhāv aa gayā hai muravvat kī Dor meñ
is kā na bal gayā to hamārā banegā kyā
is zindagī kī qadr to bas ek pal lagī
gar ye bhī pal gayā to hamārā banegā kyā
tukkā lagā ki ham ne jo izzat bachā.ī thī
gar tiir chal gayā to hamārā banegā kyā
rokā huā hai ham ne abhī dil meñ ishq ko
ye jin nikal gayā to hamārā banegā kyā
'ahmad' na soch kuchh ki zamāna hai bevafā
ye din badal gayā to hamārā banegā kyā
ye dil machal gaya to hamara banega kya
suraj pighal gaya to hamara banega kya
is dil mein le ke baiThe hain kab se tumhaari yaad
ye dil hi jal gaya to hamara banega kya
uljhaw aa gaya hai murawwat ki Dor mein
is ka na bal gaya to hamara banega kya
is zindagi ki qadr to bas ek pal lagi
gar ye bhi pal gaya to hamara banega kya
tukka laga ki hum ne jo izzat bachai thi
gar tir chal gaya to hamara banega kya
roka hua hai hum ne abhi dil mein ishq ko
ye jin nikal gaya to hamara banega kya
'ahmad' na soch kuchh ki zamana hai bewafa
ye din badal gaya to hamara banega kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.