Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye dil nahin nur ka hai shoala kisi ko is se zarar nahin hai

Natiq Lakhnavi

ye dil nahin nur ka hai shoala kisi ko is se zarar nahin hai

Natiq Lakhnavi

MORE BYNatiq Lakhnavi

    ye dil nahīñ nuur hai sho.ala kisī ko is se zarar nahīñ hai

    misāl barq-o-sharar hai lekin mizāj barq-o-sharar nahīñ hai

    hai rū-kash-e-āftāb zarra baġhair parda bilā-vasīla

    vahāñ lagā.ī hai aañkh dil ne jahāñ majāl-e-nazar nahīñ hai

    haram se nikle talāsh-e-but meñ butoñ se yād-e-ḳhudā pe bigḌī

    ġharaz ham āvāra-e-vafā haiñ kahīñ hamārā guzar nahīñ hai

    jo dekhne vaale dekhte haiñ vo sunñe vāloñ se kyā batā.eñ

    nazar ko zauq-e-zabāñ nahīñ hai zabāñ ko zauq-e-nazar nahīñ hai

    azaañ ho nāqūs jaras ho muassar apnī jagah pe sab haiñ

    magar jahāñ maiñ pahuñch gayā huuñ vahāñ kisī asar nahīñ hai

    vo nīchī nazreñ thiiñ dil tālib vafā ne go jaan nazr kar

    magar asar jo savāl meñ thā javāb meñ vo asar nahīñ hai

    suḳhan mirā kaif-e-dil hai 'nātiq' vo qadr karte haiñ jo ho āshiq

    nahīñ hai ye falsafa kitābī ye iktisābī hunar nahīñ hai

    ye dil nahin nur ka hai shoala kisi ko is se zarar nahin hai

    misal barq-o-sharar hai lekin mizaj barq-o-sharar nahin hai

    hai ru-kash-e-aftab zarra baghair parda bila-wasila

    wahan lagai hai aankh dil ne jahan majal-e-nazar nahin hai

    haram se nikle talash-e-but mein buton se yaad-e-KHuda pe bigDi

    gharaz hum aawara-e-wafa hain kahin hamara guzar nahin hai

    jo dekhne wale dekhte hain wo sunne walon se kya bataen

    nazar ko zauq-e-zaban nahin hai zaban ko zauq-e-nazar nahin hai

    azan ho naqus ya jaras ho muassar apni jagah pe sab hain

    magar jahan main pahunch gaya hun wahan kisi ka asar nahin hai

    wo nichi nazren thin dil ki talib wafa ne go jaan nazr kar di

    magar asar jo sawal mein tha jawab mein wo asar nahin hai

    suKHan mera kaif-e-dil hai 'natiq' wo qadr karte hain jo ho aashiq

    nahin hai ye falsafa kitabi ye iktisabi hunar nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now