ye din ki dhup tumhaari nazar ka dhoka hai
ye din kī dhuup tumhārī nazar kā dhokā hai
charāġh shab ke jalāo ki ghup añdherā hai
basā liyā to hai ik shahr-e-ārzū dil meñ
nazar ke sāmne lekin sukūt-e-sahrā hai
bujhā ke pyaas Duboyā na apnī ġhairat ko
gavāh tishna-labī kā hamārī dariyā hai
savād-e-shahr meñ aa.e to raushnī kyūñkar
siyāh raat kā sūraj pe jabki pahrā hai
diyā hai mausam-e-gul ne jo dil ko tohfe meñ
maiñ kyā batā.ūñ ki vo zaḳhm kitnā gahrā hai
jale daraḳhtoñ kī shāḳheñ gavāhī detī haiñ
idhar se qāfila koī zarūr guzrā hai
kabhī jo zaat se apnī thā anjuman 'bahzād'
hisār-e-ġham meñ simaT kar vo aaj tanhā hai
ye din ki dhup tumhaari nazar ka dhoka hai
charagh shab ke jalao ki ghup andhera hai
basa liya to hai ek shahr-e-arzu dil mein
nazar ke samne lekin sukut-e-sahra hai
bujha ke pyas Duboya na apni ghairat ko
gawah tishna-labi ka hamari dariya hai
sawad-e-shahr mein aae to raushni kyunkar
siyah raat ka suraj pe jabki pahra hai
diya hai mausam-e-gul ne jo dil ko tohfe mein
main kya bataun ki wo zaKHm kitna gahra hai
jale daraKHton ki shaKHen gawahi deti hain
idhar se qafila koi zarur guzra hai
kabhi jo zat se apni tha anjuman 'bahzad'
hisar-e-gham mein simaT kar wo aaj tanha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.