ye diya KHun se jala phir bhi jala hai to sahi
ye diyā ḳhuuñ se jalā phir bhī jalā hai to sahī
laakh rasman hī milā mujh se milā hai to sahī
an-kahī baat samajh lo to baḌī baat hai ye
merī ḳhāmosh navā.ī meñ sadā hai to sahī
Dagmagātā mujhe dekhe to sahārā de koī
ye jo laġhzish hai to laġhzish kā mazā hai to sahī
bhīgī āñkheñ ye batātī haiñ ki sun kar mirā haal
kuchh na kuchh tujh ko bhī ehsās huā hai to sahī
kaheñ maġhrūr ko badmast magar sach ye hai
inkisārī meñ bhī apnā hī nasha hai to sahī
zindagī bhar mirī hastī meñ rachā ho jaise
tujh ko dekhā nahīñ mahsūs kiyā hai to sahī
kāvish-e-zīst hai kyā apnī hī hastī kī talāsh
ḳhud ko pā lenā hī insāñ kā sila hai to sahī
hai jo āzurdagī us kī dam-e-ruḳhsat 'ādil'
tujh ko andāza-e-tajdīd-e-vafā hai to sahī
ye diya KHun se jala phir bhi jala hai to sahi
lakh rasman hi mila mujh se mila hai to sahi
an-kahi baat samajh lo to baDi baat hai ye
meri KHamosh nawai mein sada hai to sahi
Dagmagata mujhe dekhe to sahaara de koi
ye jo laghzish hai to laghzish ka maza hai to sahi
bhigi aankhen ye batati hain ki sun kar mera haal
kuchh na kuchh tujh ko bhi ehsas hua hai to sahi
kahen maghrur ko badmast magar sach ye hai
inkisari mein bhi apna hi nasha hai to sahi
zindagi bhar meri hasti mein racha ho jaise
tujh ko dekha nahin mahsus kiya hai to sahi
kawish-e-zist hai kya apni hi hasti ki talash
KHud ko pa lena hi insan ka sila hai to sahi
hai jo aazurdagi us ki dam-e-ruKHsat 'adil'
tujh ko andaza-e-tajdid-e-wafa hai to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.