ye duaon ka asar hai taqat-e-faryaad hai
ye du'āoñ kā asar hai tāqat-e-faryād hai
jān-levā ġham hai phir bhī zindagī ābād hai
aap rahne dījiye āsāñ nahīñ paḌhnā hameñ
dil to zaḳhmī hai magar chehra hamārā shaad hai
do hī chīzeñ khīñch saktī haiñ hameñ apnī taraf
ek to tum ho mirī jaañ ik tumhārī yaad hai
darmiyāñ donoñ ke ik shak kī bhī gunjā.ish nahīñ
is qadar mazbūt apne 'ishq kī buniyād hai
ḳhush ho piñjre meñ parinda yā dukhī ho shāḳh par
us ko matlab hī nahīñ sayyād to sayyād hai
kaam kuchh karte nahīñ haiñ ye mohabbat ke sivā
is liye hī 'āshiqoñ kī zindagī barbād hai
merī āzādī kā matlab tum batāoge mujhe
jis kī apnī raushnī sū-e-ruḳh-e-jallād hai
har taraqqī par tumhāre ḳhaas to dete hī haiñ
hāsidoñ se bhī mile jo vo mubārakbād hai
ye du'aon ka asar hai taqat-e-faryaad hai
jaan-lewa gham hai phir bhi zindagi aabaad hai
aap rahne dijiye aasan nahin paDhna hamein
dil to zaKHmi hai magar chehra hamara shad hai
do hi chizen khinch sakti hain hamein apni taraf
ek to tum ho meri jaan ek tumhaari yaad hai
darmiyan donon ke ek shak ki bhi gunjaish nahin
is qadar mazbut apne 'ishq ki buniyaad hai
KHush ho pinjre mein parinda ya dukhi ho shaKH par
us ko matlab hi nahin sayyaad to sayyaad hai
kaam kuchh karte nahin hain ye mohabbat ke siwa
is liye hi 'ashiqon ki zindagi barbaad hai
meri aazadi ka matlab tum bataoge mujhe
jis ki apni raushni su-e-ruKH-e-jallad hai
har taraqqi par tumhaare KHas to dete hi hain
hasidon se bhi mile jo wo mubarakbaad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.