ye duniya aani-jaani hai koi daim nahin rahta
ye duniyā ānī-jānī hai koī daa.im nahīñ rahtā
sadā ḳhushiyāñ nahīñ rahtīñ hamesha ġham nahīñ rahtā
lahū ko garm rakhtī hai masā.il kī girāñ-bārī
dil-e-murda use kahiye ki jis meñ ġham nahīñ rahtā
yahī bastī hai jis ke har galī kūche se nisbat thī
magar ab yaañ koī hamdam koī mahram nahīñ rahtā
nikal ab apne maskan se muqaddar hai tirā hijrat
ki dariyā apne maḳhraj par bhī to qaa.em nahīñ rahtā
badaltī rahtī haiñ qadreñ badal jaatī haiñ tahzībeñ
zamāna ek maslak par sadā qaa.em nahīñ rahtā
zabāneñ irtiqā kī manziloñ se jab guzartī haiñ
bahut se lafz kaT jaate haiñ jin meñ dam nahīñ rahtā
'sarosh' āḳhir yahāñ kis kis ke dar par dastakeñ doge
yahāñ aġhyār baste haiñ koī mahram nahīñ rahtā
ye duniya aani-jaani hai koi daim nahin rahta
sada KHushiyan nahin rahtin hamesha gham nahin rahta
lahu ko garm rakhti hai masail ki giran-bari
dil-e-murda use kahiye ki jis mein gham nahin rahta
yahi basti hai jis ke har gali kuche se nisbat thi
magar ab yan koi hamdam koi mahram nahin rahta
nikal ab apne maskan se muqaddar hai tera hijrat
ki dariya apne maKHraj par bhi to qaem nahin rahta
badalti rahti hain qadren badal jati hain tahziben
zamana ek maslak par sada qaem nahin rahta
zabanen irtiqa ki manzilon se jab guzarti hain
bahut se lafz kaT jate hain jin mein dam nahin rahta
'sarosh' aaKHir yahan kis kis ke dar par dastaken doge
yahan aghyar baste hain koi mahram nahin rahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.