ye duniya agar rashk-e-jannat na hoti
ye duniyā agar rashk-e-jannat na hotī
hameñ zindagī kī zarūrat na hotī
mujhe aap se gar 'aqīdat na hotī
mohabbat fareb-e-mohabbat na hotī
na hote agar ham se ‘aasī jo maulā
to kyā terī tauhīn-e-rahmat na hotī
bhalā kaise mumkin thā ye tum hī kah do
chale jaate tum aur qayāmat na hotī
ye duniya agar rashk-e-jannat na hoti
hamein zindagi ki zarurat na hoti
mujhe aap se gar 'aqidat na hoti
mohabbat fareb-e-mohabbat na hoti
na hote agar hum se ‘asi jo maula
to kya teri tauhin-e-rahmat na hoti
bhala kaise mumkin tha ye tum hi kah do
chale jate tum aur qayamat na hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.