ye duniya dur tak ka silsila nain
ye duniyā duur tak kā silsila na.iiñ
hameñ us ke liye kuchh sochnā na.iiñ
ye putlā is qadar maġhrūr kyuuñ hai
to kyā ye āsmānoñ se girā na.iiñ
bahut pahle ye din aane se pahle
jo honā thā abhī tak bhī huā na.iiñ
sabhī haq faisle ke muntazir haiñ
kisī ne ḳhuun kā badla liyā na.iiñ
abhī sūraj meñ thoḌī raushnī hai
zamīñ kā rang bhī phīkā paḌā na.iiñ
dar-o-dīvār ke me.amār dekheñ
ye ghar buniyād se ab bhī hilā na.iiñ
ye rasta shahr ke naqshe meñ hogā
ye rasta sirf āñkhoñ meñ khulā na.iiñ
ye duniyā is liye aadhī hai ab tak
piyāla dard se puurā bharā na.iiñ
vahī āñkheñ vahī chehra vahī baat
kisī tasvīr meñ kuchh bhī nayā na.iiñ
hameñ kuchh kaam karne haiñ yahāñ par
ye maanā kaam kā koī sila na.iiñ
usī ke mashvare ko mānte haiñ
ye dil jaisā bhī hai utnā burā na.iiñ
badan kī ḳhaak par chhīñTe lahū ke
kahāñ se aa.e haiñ ham ne kahā na.iiñ
musalsal rone vaale hañs rahe haiñ
ye koī chhoTā-moTā vāqi.a na.iiñ
kisī ke dukh kā charchā ho rahā hai
koī dukh aise dukh se to sivā na.iiñ
ye baat ik roz duniyā maan legī
hamāre jurm kī koī sazā na.iiñ
koī sotā nahīñ hai kyā sar-e-shām
koī bhī muñh añdhere jāgtā na.iiñ
nahīñ ma.alūm un ko yaad hai kyā
hameñ to ek din bhī bhūltā na.iiñ
bhulā ho gar koī samjhā.e un ko
namak-pāshī meñ tāsīr-e-shifā na.iiñ
kahāñ par kaun thā jo ab nahīñ hai
kisī se pūchhne kā hausla na.iiñ
kisī kā sochnā ruk ruk ke chalnā
munāsib thā magar achchhā lagā na.iiñ
koī taslīm kartā hī nahīñ kuchh
abhī shāyad koī itnā baḌā na.iiñ
hameñ jaise koī zid ho ga.ī thī
jo duniyā ne kahā ham ne kiyā na.iiñ
ḳhud apne vāste mushkil hue jab
hameñ āsān phir kuchh bhī milā na.iiñ
libās-o-vaza shāyad ek se hoñ
magar andar se koī ek sā na.iiñ
abhī to zehn saiqal ho rahā hai
jo likhnā hai abhī ham ne likhā na.iiñ
abhī TukḌe ikaTThe ho rahe haiñ
abhī TuuTā huā rishta juḌā na.iiñ
ye manzar is jagah pahle nahīñ thā
to kyā hai phir agar ye mo.ajiza na.iiñ
na.ī bastī meñ ābādī bahut hai
magar koī kisī ko jāntā na.iiñ
ham ik tanhā sadī ke pesh-rau haiñ
hamārā aisā-vaisā martaba na.iiñ
shajar phūTegā phir ik din zamīñ se
hai da.avā zindagī kā maut kā na.iiñ
ḳhudā se rābta kar ke to dekho
phir us ke ba.ad kah denā ḳhudā na.iiñ
chahār-atrāf aisī thī chakā-chauñd
kisī kī aañkh se parda haTā na.iiñ
ye lagtā hai magar ye sach nahīñ hai
ki puurī baat koī jāntā na.iiñ
yahī tūfān bhī barpā kareñge
hamāre dost paanī aur havā na.iiñ
isī miTTī meñ miTTī ho raheñge
isī miTTī ko koī pūchhtā na.iiñ
uThī sho.aloñ se bachche khelte the
lagī phir aag to kuchh bhī bachā na.iiñ
anāsir hukm kī ta.amīl meñ haiñ
duā kī dastaras se māvarā na.iiñ
agar mub.ham rahā insān to kyā
yahāñ to āsmānoñ kā sirā na.iiñ
hai mushkil ḳhauf ko tasḳhīr karnā
samundar paar karnā marhala na.iiñ
vahāñ ke phuul chunñā chāhte haiñ
hamārā jis zamīñ se rābta na.iiñ
usī ke dhyān meñ uljhe hue haiñ
hameñ jo aañkh uThā ke dekhtā na.iiñ
hameñ apnī ḳhabar bas is qadar hai
ki aglī saañs tak kā bhī patā na.iiñ
na jaane kyā hai phir jo māñgtā hai
ye dil kuchh bhī to us se māñgtā na.iiñ
tamām āsūdgī āsūdgī bas
magar aise bhī jiine kā mazā na.iiñ
barābar iztirāb aur be-yaqīnī
bahut baḌh jaa.e to ye bhī bhalā na.iiñ
to phir ham kis tarah se ḳhush raheñge
magar ḳhush is tarah koī rahā na.iiñ
ye sab be-kār kī bāteñ haiñ shāyad
hamārā asl meñ ye mas.ala na.iiñ
ye vo kyā toḌte haiñ joḌte haiñ
na jaane kyā hai jo ab tak banā na.iiñ
ġhubār-e-vaqt haiñ par mānte haiñ
qusūr is meñ zarā bhī vaqt kā na.iiñ
batānā soch kar ta.abīr is kī
muabbir ye ishāra raat kā na.iiñ
hamārī saañs ukhaḌ jaa.e to kyā hai
yahī to zindagī kī intihā na.iiñ
zabāñ chhāloñ se bhar jaa.e to kyā hai
kabhī muñh se hameñ kuchh bhūlnā na.iiñ
adhūrī baat rah jaa.e to kyā hai
adhūrī baat ko bhī kyā baqā na.iiñ
na aanī thī na aa.ī duniyā-dārī
magar sharmindagī us kī zarā na.iiñ
bahut hī duur se āvāz aa.ī
hameñ aise lagā ham ne sunā na.iiñ
kabhī lagtā hai ham vaise nahīñ haiñ
kabhī lagtā hai ham us se judā na.iiñ
jo zāhir thā use to kyā chhupāte
chhupānā chāhte the jo chhupā na.iiñ
musāfir thoḌī mohlat hai tire paas
safīna itnī jaldī Dūbtā na.iiñ
bahut kuchh hai jo paanī pe likhā hai
kisī ne aaj tak bhī jo paḌhā na.iiñ
kisī kī maut kā matlab fanā hai
kisī kī maut kā matlab fanā na.iiñ
ye duniya dur tak ka silsila nain
hamein us ke liye kuchh sochna nain
ye putla is qadar maghrur kyun hai
to kya ye aasmanon se gira nain
bahut pahle ye din aane se pahle
jo hona tha abhi tak bhi hua nain
sabhi haq faisle ke muntazir hain
kisi ne KHun ka badla liya nain
abhi suraj mein thoDi raushni hai
zamin ka rang bhi phika paDa nain
dar-o-diwar ke meamar dekhen
ye ghar buniyaad se ab bhi hila nain
ye rasta shahr ke naqshe mein hoga
ye rasta sirf aankhon mein khula nain
ye duniya is liye aadhi hai ab tak
piyala dard se pura bhara nain
wahi aankhen wahi chehra wahi baat
kisi taswir mein kuchh bhi naya nain
hamein kuchh kaam karne hain yahan par
ye mana kaam ka koi sila nain
usi ke mashware ko mante hain
ye dil jaisa bhi hai utna bura nain
badan ki KHak par chhinTe lahu ke
kahan se aae hain hum ne kaha nain
musalsal rone wale hans rahe hain
ye koi chhoTa-moTa waqia nain
kisi ke dukh ka charcha ho raha hai
koi dukh aise dukh se to siwa nain
ye baat ek roz duniya man legi
hamare jurm ki koi saza nain
koi sota nahin hai kya sar-e-sham
koi bhi munh andhere jagta nain
nahin malum un ko yaad hai kya
hamein to ek din bhi bhulta nain
bhula ho gar koi samjhae un ko
namak-pashi mein tasir-e-shifa nain
kahan par kaun tha jo ab nahin hai
kisi se puchhne ka hausla nain
kisi ka sochna ruk ruk ke chalna
munasib tha magar achchha laga nain
koi taslim karta hi nahin kuchh
abhi shayad koi itna baDa nain
hamein jaise koi zid ho gai thi
jo duniya ne kaha hum ne kiya nain
KHud apne waste mushkil hue jab
hamein aasan phir kuchh bhi mila nain
libas-o-waza shayad ek se hon
magar andar se koi ek sa nain
abhi to zehn saiqal ho raha hai
jo likhna hai abhi hum ne likha nain
abhi TukDe ikaTThe ho rahe hain
abhi TuTa hua rishta juDa nain
ye manzar is jagah pahle nahin tha
to kya hai phir agar ye moajiza nain
nai basti mein aabaadi bahut hai
magar koi kisi ko jaanta nain
hum ek tanha sadi ke pesh-rau hain
hamara aisa-waisa martaba nain
shajar phuTega phir ek din zamin se
hai dawa zindagi ka maut ka nain
KHuda se rabta kar ke to dekho
phir us ke baad kah dena KHuda nain
chahaar-atraf aisi thi chaka-chaund
kisi ki aankh se parda haTa nain
ye lagta hai magar ye sach nahin hai
ki puri baat koi jaanta nain
yahi tufan bhi barpa karenge
hamare dost pani aur hawa nain
isi miTTi mein miTTi ho rahenge
isi miTTi ko koi puchhta nain
uThi shoalon se bachche khelte the
lagi phir aag to kuchh bhi bacha nain
anasir hukm ki tamil mein hain
dua ki dastaras se mawara nain
agar mubham raha insan to kya
yahan to aasmanon ka sira nain
hai mushkil KHauf ko tasKHir karna
samundar par karna marhala nain
wahan ke phul chunna chahte hain
hamara jis zamin se rabta nain
usi ke dhyan mein uljhe hue hain
hamein jo aankh uTha ke dekhta nain
hamein apni KHabar bas is qadar hai
ki agli sans tak ka bhi pata nain
na jaane kya hai phir jo mangta hai
ye dil kuchh bhi to us se mangta nain
tamam aasudgi aasudgi bas
magar aise bhi jine ka maza nain
barabar iztirab aur be-yaqini
bahut baDh jae to ye bhi bhala nain
to phir hum kis tarah se KHush rahenge
magar KHush is tarah koi raha nain
ye sab be-kar ki baaten hain shayad
hamara asl mein ye masala nain
ye wo kya toDte hain joDte hain
na jaane kya hai jo ab tak bana nain
ghubar-e-waqt hain par mante hain
qusur is mein zara bhi waqt ka nain
batana soch kar tabir is ki
muabbir ye ishaara raat ka nain
hamari sans ukhaD jae to kya hai
yahi to zindagi ki intiha nain
zaban chhaalon se bhar jae to kya hai
kabhi munh se hamein kuchh bhulna nain
adhuri baat rah jae to kya hai
adhuri baat ko bhi kya baqa nain
na aani thi na aai duniya-dari
magar sharmindagi us ki zara nain
bahut hi dur se aawaz aai
hamein aise laga hum ne suna nain
kabhi lagta hai hum waise nahin hain
kabhi lagta hai hum us se juda nain
jo zahir tha use to kya chhupate
chhupana chahte the jo chhupa nain
musafir thoDi mohlat hai tere pas
safina itni jaldi Dubta nain
bahut kuchh hai jo pani pe likha hai
kisi ne aaj tak bhi jo paDha nain
kisi ki maut ka matlab fana hai
kisi ki maut ka matlab fana nain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.