ye duniya har qadam par aadmi ka imtihan kyon hai
ye duniya har qadam par aadmi ka imtihan kyon hai
Munib Muzaffarpuri
MORE BYMunib Muzaffarpuri
ye duniyā har qadam par aadmī kā imtihāñ kyoñ hai
judā har aadmī se aadmī kā kārvāñ kyoñ hai
mohabbat saarī duniyā ke liye rūh-e-ravāñ kyoñ hai
siyāsat ke falak par aaj nafrat kā dhuāñ kyoñ hai
hazāroñ jaan de kar jis ne hāsil kī hai āzādī
tamāshā ban ke duniyā meñ vahī hindostāñ kyoñ hai
havā to muḳhtalif hai na muāfiq bhī muḳhālif bhī
mo.attar in havāoñ se hamārā jism-o-jāñ kyoñ hai
jise bhī dekhiye vo lūTne ke fan meñ hai māhir
havas kī ġharz meñ ye zindagī kā kārvāñ kyoñ hai
javānī jis ne bachchoñ ke liye qurbān kar Daalī
buḌhāpā us kā bachchoñ ke liye bār-e-garāñ kyoñ hai
kisī ma.asūm kī eḌī se jab chashma ubaltā hai
sunāmī kaise aatī hai 'munīb' ātish-fishāñ kyoñ hai
ye duniya har qadam par aadmi ka imtihan kyon hai
juda har aadmi se aadmi ka karwan kyon hai
mohabbat sari duniya ke liye ruh-e-rawan kyon hai
siyasat ke falak par aaj nafrat ka dhuan kyon hai
hazaron jaan de kar jis ne hasil ki hai aazadi
tamasha ban ke duniya mein wahi hindostan kyon hai
hawa to muKHtalif hai na muafiq bhi muKHalif bhi
moattar in hawaon se hamara jism-o-jaan kyon hai
jise bhi dekhiye wo luTne ke fan mein hai mahir
hawas ki gharz mein ye zindagi ka karwan kyon hai
jawani jis ne bachchon ke liye qurban kar Dali
buDhapa us ka bachchon ke liye bar-e-garan kyon hai
kisi masum ki eDi se jab chashma ubalta hai
sunami kaise aati hai 'munib' aatish-fishan kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.