ye duniya jab ri’ayat mangti hai
ye duniyā jab ri’āyat māñgtī hai
har ik tohfe kī qīmat māñgtī hai
tumheñ jaldī paḌī hai shāhzādī
mohabbat ek muddat māñgtī hai
bilā-asbāb ḳhushiyāñ chāhtā huuñ
magar taskīn rishvat māñgtī hai
pighal ke aa rahī hai barf nīche
ye bastī ab ijāzat māñgtī hai
uTho māyūsiyoñ ke par TaTolo
koī parvāz shafqat māñgtī hai
hukūmat ḳhud nahīñ chaltī hai lekin
chalāne kī liyāqat māñgtī hai
kasāo ruuh par karte hī rahiye
vagarna ye fazīlat māñgtī hai
ġhazal kaisī bhī tum 'farhān' kah do
bil-āḳhir ye samā'at māñgtī hai
ye duniya jab ri’ayat mangti hai
har ek tohfe ki qimat mangti hai
tumhein jaldi paDi hai shahzadi
mohabbat ek muddat mangti hai
bila-asbab KHushiyan chahta hun
magar taskin rishwat mangti hai
pighal ke aa rahi hai barf niche
ye basti ab ijazat mangti hai
uTho mayusiyon ke par TaTolo
koi parwaz shafqat mangti hai
hukumat KHud nahin chalti hai lekin
chalane ki liyaqat mangti hai
kasao ruh par karte hi rahiye
wagarna ye fazilat mangti hai
ghazal kaisi bhi tum 'farhan' kah do
bil-aKHir ye sama'at mangti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.