ye duniya kis chakkar mein kho jati hai
ye duniyā kis chakkar meñ kho jaatī hai
hone vaalī baat to bas ho jaatī hai
tere haq meñ maiñ tanhā rah jaatā huuñ
saarī duniyā ek taraf ho jaatī hai
us kī yaad ke jugnū jāgte rahte haiñ
merī aañkh to pal bhar meñ so jaatī hai
ḳhud hī tamāshā bantā huuñ ḳhud kā 'farhat'
ye ḳhāmoshī kyā dil meñ bo jaatī hai
ye duniya kis chakkar mein kho jati hai
hone wali baat to bas ho jati hai
tere haq mein main tanha rah jata hun
sari duniya ek taraf ho jati hai
us ki yaad ke jugnu jagte rahte hain
meri aankh to pal bhar mein so jati hai
KHud hi tamasha banta hun KHud ka 'farhat'
ye KHamoshi kya dil mein bo jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.