ye duniya tab hasin itni nahin thi
ye duniyā tab hasīñ itnī nahīñ thī
merī jab ishq se bantī nahīñ thī
batāte the mujhe aa kar kabūtar
vo laḌkī jab vahāñ rahtī nahīñ thī
duā din raat karte the musavvir
tirī tasvīr par bantī nahīñ thī
ghaḌī ham us kī dī lauTāte kaise
hamārī zindagī chaltī nahīñ thī
sab apne ghar ko jaldī lauTte the
mirī hī shaam bas Dhaltī nahīñ thī
ḳhudā ke saath rahte the falak par
zamīñ vāloñ se jab bantī nahīñ thī
ayaañ kar detā thā maiñ sab nadī par
nadī mujh par magar khultī nahīñ thī
maiñ ḳhud ko rok letā ḳhud-kushī se
mirī mujh par magar chaltī nahīñ thī
ham ab ke chaar ḳhāne chit paḌe the
aur aage chaal bhī bantī nahīñ thī
ye duniya tab hasin itni nahin thi
meri jab ishq se banti nahin thi
batate the mujhe aa kar kabutar
wo laDki jab wahan rahti nahin thi
dua din raat karte the musawwir
teri taswir par banti nahin thi
ghaDi hum us ki di lauTate kaise
hamari zindagi chalti nahin thi
sab apne ghar ko jaldi lauTte the
meri hi sham bas Dhalti nahin thi
KHuda ke sath rahte the falak par
zamin walon se jab banti nahin thi
ayan kar deta tha main sab nadi par
nadi mujh par magar khulti nahin thi
main KHud ko rok leta KHud-kushi se
meri mujh par magar chalti nahin thi
hum ab ke chaar KHane chit paDe the
aur aage chaal bhi banti nahin thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.