ye duniya zahiran shahkari si malum hoti hai
ye duniyā zāhiran shahkārī sī ma.alūm hotī hai
ba-bātin ye hameñ bekār sī ma.alūm hotī hai
ye kyā aalam hai kaisī dil kī hālat hai koī dekhe
ki shāḳh-e-gul bhī ab talvār sī ma.alūm hotī hai
ḳhudā ma.alūm kaisā vaqt aaya hai gulistāñ par
pareshāñ gul kalī bīmār sī ma.alūm hotī hai
zamāna laakh dīvāna samajhtā hai magar ham ko
zamāne kī nazar bīmār sī ma.alūm hotī hai
qanā.at jis kī fitrat ho use nān-e-javīñ tak bhī
hamesha meva-e-qandhār sī mā'lūm hotī hai
ba-zāhir rabt hai ahl-e-jahāñ meñ lekin ai hamdam
diloñ ke darmiyāñ dīvār sī ma.alūm hotī hai
jo hogā sāmnā to ḳhāliq-e-duniyā se kah deñge
tirī duniyā hameñ bekār sī ma.alūm hotī hai
jafāoñ se milā hai iltifāt-e-ḳhās ai 'lāġhar'
jafā bhī pyaar kā iz.hār sī ma.alūm hotī hai
ye duniya zahiran shahkari si malum hoti hai
ba-baatin ye hamein bekar si malum hoti hai
ye kya aalam hai kaisi dil ki haalat hai koi dekhe
ki shaKH-e-gul bhi ab talwar si malum hoti hai
KHuda malum kaisa waqt aaya hai gulistan par
pareshan gul kali bimar si malum hoti hai
zamana lakh diwana samajhta hai magar hum ko
zamane ki nazar bimar si malum hoti hai
qanaat jis ki fitrat ho use nan-e-jawin tak bhi
hamesha mewa-e-qandhaar si ma'lum hoti hai
ba-zahir rabt hai ahl-e-jahan mein lekin ai hamdam
dilon ke darmiyan diwar si malum hoti hai
jo hoga samna to KHaliq-e-duniya se kah denge
teri duniya hamein bekar si malum hoti hai
jafaon se mila hai iltifat-e-KHas ai 'laghar'
jafa bhi pyar ka izhaar si malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.