ye faisla bhi mere dast-e-ba-kamal mein tha
ye faisla bhī mire dast-e-bā-kamāl meñ thā
jo chhīnñe meñ maza hai vo kab savāl meñ thā
kis āftāb kī aahaT se shahr jaag uThā
vagarna maiñ bhī kahīñ mast apne haal meñ thā
tire bayāñ ne dikhāyā jo aa.ina to khulā
ki har shu.ūr mire gosha-e-ḳhayāl meñ thā
mire safar ke liye roz-o-shab bane hī nahīñ
tumhīñ kaho ki maiñ kab qaid-e-māh-o-sāl meñ thā
ragoñ meñ reg-e-ravāñ thā gurez-pā.ī kā
lahū asiir ajab ḳhvāhishoñ ke jaal meñ thā
mire gurez ne ahd-e-sitam ko tuul diyā
ye eqtidār to kab se yūñhī zavāl meñ thā
ajiib lams kī lazzat hai merī bāñhoñ meñ
vahī maza hai jo us ḳhvāb ke visāl meñ thā
ye faisla bhi mere dast-e-ba-kamal mein tha
jo chhinne mein maza hai wo kab sawal mein tha
kis aaftab ki aahaT se shahr jag uTha
wagarna main bhi kahin mast apne haal mein tha
tere bayan ne dikhaya jo aaina to khula
ki har shuur mere gosha-e-KHayal mein tha
mere safar ke liye roz-o-shab bane hi nahin
tumhin kaho ki main kab qaid-e-mah-o-sal mein tha
ragon mein reg-e-rawan tha gurez-pai ka
lahu asir ajab KHwahishon ke jal mein tha
mere gurez ne ahd-e-sitam ko tul diya
ye eqtidar to kab se yunhi zawal mein tha
ajib lams ki lazzat hai meri banhon mein
wahi maza hai jo us KHwab ke visal mein tha
- Book : Subh-e-safar (Pg. 67)
- Author : Saleem Shahid
- Publication : Ham asr, Lahore (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.