ye fana meri baqa ho jaise
ye fanā merī baqā ho jaise
tū hī chehre pe likhā ho jaise
tere hoñToñ pe tabassum aisā
phuul sahrā meñ khilā ho jaise
yuuñ pukārā hai kisī ne mujh ko
naam terā hī liyā ho jaise
us ne pherī jo nigāheñ to lagā
shīsha patthar pe girā ho jaise
har taraf lams hai zinda us kā
ghar meñ sadiyoñ vo rahā ho jaise
zahr mahbūb ke hāthoñ pā kar
yuuñ piyā maiñ ne davā ho jaise
vasl kī shaam kā ik ik lamha
merī muTThī meñ dabā ho jaise
ye fana meri baqa ho jaise
tu hi chehre pe likha ho jaise
tere honTon pe tabassum aisa
phul sahra mein khila ho jaise
yun pukara hai kisi ne mujh ko
nam tera hi liya ho jaise
us ne pheri jo nigahen to laga
shisha patthar pe gira ho jaise
har taraf lams hai zinda us ka
ghar mein sadiyon wo raha ho jaise
zahr mahbub ke hathon pa kar
yun piya main ne dawa ho jaise
wasl ki sham ka ek ek lamha
meri muTThi mein daba ho jaise
- Book : Mehki Mehki Raat (Pg. 50)
- Author : Syeda Nafis Bano Shama
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.