ye faqat shorish-e-hawa to nahin
ye faqat shorish-e-havā to nahīñ
koī mujh ko pukārtā to nahīñ
bol ai aḳhtar-e-ġhunūda-e-sub.h
koī rātoñ ko jāgtā to nahīñ
sun ki ye madd-o-jazr-e-sāhil-e-bahr
mājrāoñ kā mājrā to nahīñ
zehn par ek khurdurī sī lakīr
kankhajūre kā rāstā to nahīñ
ret par chaḌh rahī hai ret kī tah
bābul o misr o nainvā to nahīñ
nok-e-har-ḳhār-o-ḳhas hai ḳhūñ-ālūd
rūh-e-sahrā barahna-pā to nahīñ
ai mirī jān-e-mubtalā ke sukūñ
tū koī jān-e-mubtalā to nahīñ
tere jism-e-hasīñ meñ ḳhvābīda
bāġh-e-jannat kā azhdahā to nahīñ
ye faqat shorish-e-hawa to nahin
koi mujh ko pukarta to nahin
bol ai aKHtar-e-ghunuda-e-subh
koi raaton ko jagta to nahin
sun ki ye madd-o-jazr-e-sahil-e-bahr
majraon ka majra to nahin
zehn par ek khurduri si lakir
kankhajure ka rasta to nahin
ret par chaDh rahi hai ret ki tah
babul o misr o nainwa to nahin
nok-e-har-KHar-o-KHas hai KHun-alud
ruh-e-sahra barahna-pa to nahin
ai meri jaan-e-mubtala ke sukun
tu koi jaan-e-mubtala to nahin
tere jism-e-hasin mein KHwabida
bagh-e-jannat ka azhdaha to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.