ye farsh-o-arsh kya hai allah jaanta hai
ye farsh-o-arsh kyā hai allāh jāntā hai
pardoñ meñ kyā chhupā hai allāh jāntā hai
jo bhī burā-bhalā hai allāh jāntā hai
bandoñ ke dil meñ kyā hai allāh jāntā hai
laakh apne dil kā sikka duniyā se tū chhupā.e
khoTā hai yā kharā hai allāh jāntā hai
jā kar jahāñ se vāpas aatā nahīñ hai koī
vo baam kaun sā hai allāh jāntā hai
ye sub.h-o-shām dekho ye dhūp-chhāñv dekho
sab kyuuñ ye ho rahā hai allāh jāntā hai
nekī-badī ko apnī kitnā hī tū chhupā.e
allāh ko patā hai allāh jāntā hai
qismat ke naam ko sab jaane nahīñ haiñ 'aḳhtar'
qismat meñ kyā likhā hai allāh jāntā hai
ye farsh-o-arsh kya hai allah jaanta hai
pardon mein kya chhupa hai allah jaanta hai
jo bhi bura-bhala hai allah jaanta hai
bandon ke dil mein kya hai allah jaanta hai
lakh apne dil ka sikka duniya se tu chhupae
khoTa hai ya khara hai allah jaanta hai
ja kar jahan se wapas aata nahin hai koi
wo baam kaun sa hai allah jaanta hai
ye subh-o-sham dekho ye dhup-chhanw dekho
sab kyun ye ho raha hai allah jaanta hai
neki-badi ko apni kitna hi tu chhupae
allah ko pata hai allah jaanta hai
qismat ke nam ko sab jaane nahin hain 'aKHtar'
qismat mein kya likha hai allah jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.