Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye fazilat mere meyar se kam hai shayad

Syed Mohammad Tajeel Mehdi

ye fazilat mere meyar se kam hai shayad

Syed Mohammad Tajeel Mehdi

MORE BYSyed Mohammad Tajeel Mehdi

    ye fazīlat mire me'yār se kam hai shāyad

    aañkh se ḳhuun na Tapkā abhī nam hai shāyad

    vo mirā ho nahīñ paayā so ghulā jaatā huuñ

    ek 'arse se mire dil meñ ye ġham hai shāyad

    vo jise mārne vaalā hai zamāna saarā

    us ke hāthoñ meñ sadāqat 'alam hai shāyad

    kaun samjhā.e ye 'uqda ki ai bastī vaalo

    zulm ḳhāmoshī se sah lenā sitam hai shāyad

    aise mā’rūf baḌe logoñ meñ ġhazleñ kahnā

    ḳhāliq-e-nutq-o-qalam ye karam hai shāyad

    ye fazilat mere me'yar se kam hai shayad

    aankh se KHun na Tapka abhi nam hai shayad

    wo mera ho nahin paya so ghula jata hun

    ek 'arse se mere dil mein ye gham hai shayad

    wo jise marne wala hai zamana sara

    us ke hathon mein sadaqat ka 'alam hai shayad

    kaun samjhae ye 'uqda ki ai basti walo

    zulm KHamoshi se sah lena sitam hai shayad

    aise ma’ruf baDe logon mein ghazlen kahna

    KHaliq-e-nutq-o-qalam ka ye karam hai shayad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now