Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye ghaza hai kajal hai ubTan hai kya hai

Akhlaq Aahan

ye ghaza hai kajal hai ubTan hai kya hai

Akhlaq Aahan

MORE BYAkhlaq Aahan

    ye ġhāza hai kājal hai ubTan hai kyā hai

    ye rang-e-hinā dāġh-e-dāman hai kyā hai

    laTak hai maTak hai jhaTak hai adā hai

    khaTak hai dhaḌak hai ki dhaḌkan hai kyā hai

    hayā bahāreñ haiñ ra.anā.iyoñ par

    ye jalva hai mastī hai joban hai kyā hai

    ye phailī huī ḳhushbuoñ ghaTā.eñ

    ye gesū hai kākul hai uljhan hai kyā hai

    tabassum bijlī qayāmat shoḳhī

    ye bārāñ hai bādal hai kaḌkan hai kyā hai

    jo sāz-e-sitam har taraf baj rahā hai

    vo paa.el hai chūḌī hai kangan hai kyā hai

    ye kaisī jagah hai ki dil kho rahā hai

    bayābāñ hai sahrā hai gulshan hai kyā hai

    kahūñ maiñ kabhū sher aisā to kahiye

    sharārat hai laġhzish hai bhaTkan hai kyā hai

    junūñ asar 'āhan'-e-be-navā par

    ye jaadū hai Tonā hai bandhan hai kyā hai

    ye ghaza hai kajal hai ubTan hai kya hai

    ye rang-e-hina dagh-e-daman hai kya hai

    laTak hai maTak hai jhaTak hai ada hai

    khaTak hai dhaDak hai ki dhaDkan hai kya hai

    haya ki bahaaren hain ranaiyon par

    ye jalwa hai masti hai joban hai kya hai

    ye phaili hui KHushbuon ki ghaTaen

    ye gesu hai kakul hai uljhan hai kya hai

    tabassum ki bijli qayamat ki shoKHi

    ye baran hai baadal hai kaDkan hai kya hai

    jo saz-e-sitam har taraf baj raha hai

    wo pael hai chuDi hai kangan hai kya hai

    ye kaisi jagah hai ki dil kho raha hai

    bayaban hai sahra hai gulshan hai kya hai

    kahun main kabhu sher aisa to kahiye

    shararat hai laghzish hai bhaTkan hai kya hai

    junun ka asar 'ahan'-e-be-nawa par

    ye jadu hai Tona hai bandhan hai kya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now