ye ghalat hai ai dil-e-bad-guman ki wahan kisi ka guzar nahin
ye ghalat hai ai dil-e-bad-guman ki wahan kisi ka guzar nahin
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
MORE BYMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
ye ġhalat hai ai dil-e-bad-gumāñ ki vahāñ kisī kā guzar nahīñ
faqat is liye ye hijāb hai ki kisī ko tāb-e-nazar nahīñ
kaho kuchh haqīqat-e-mushtahar ki mujhe kahīñ kī ḳhabar nahīñ
ye manāzir-e-do-jahāñ haiñ kyā jo fareb-e-zauq-e-nazar nahīñ
kisī aah meñ nahīñ soz jab kisī naale meñ jab asar nahīñ
ye kamāl-e-sozish-e-dil nahīñ ye faroġh-e-dāġh-e-jigar nahīñ
chamak uTh rahī hai jo pai-ba-pai ye tajalliyoñ kā ḳhazāna hai
ye hujūm-e-barq-e-tapāñ nahīñ ye matā-e-dard-e-jigar nahīñ
ye hai ehtimām-e-hijāb kyuuñ ye hai band-o-bast-e-naqāb kyuuñ
tumheñ aañkh bhar ke maiñ dekh luuñ vo nazar nahīñ vo jigar nahīñ
vo rahīn-e-lazzat-e-ġham huuñ maiñ na milī azal meñ jise tarab
maiñ hī us karam kā thā muntazir maiñ hī mustahiq thā magar nahīñ
kabhī vaqt-e-nāz-o-niyāz hai kabhī mahv-e-zulf-e-ayāz hai
magar us pe bhī dil-e-ġhaznavī karam-āshnā-e-nazar nahīñ
ye tayyunāt-e-nizām the faqat ek parda-e-māsivā
ḳhabar us kī jab se huī mujhe koī is jahāñ kī ḳhabar nahīñ
tujhe kār-gāh-e-fanā batā inhī hastiyoñ pe ġhurūr hai
jo sharīk-e-sūd-o-ziyāñ nahīñ jo rahīn-e-naf-o-zarar nahīñ
chamak ai charāġh-e-zamīr ab ki tulūa mehr-e-kamāl ho
vo lahad huuñ tīra-o-tār maiñ ki jahāñ bayāz-e-sahar nahīñ
na vo soz hai na vo saaz hai na vo dil ḳhazāna-e-rāz hai
vo sharar huuñ jis meñ dhuāñ nahīñ vo hajar huuñ jis meñ sharar nahīñ
nazar us kī hai mirī samt abhī mirā dāman-e-goharīñ na dekh
abhī ḳhūn-e-dil hai rukā huā abhī āñsuoñ se ye tar nahīñ
chamak ai tajallī-e-dil-rubā nikal ai ḳhulāsa-e-duā
ki nazāra-e-do-jahāñ faqat ye ma.āl-e-zauq-e-nazar nahīñ
ye jubba-sā.ī-e-be-mahal mujhe shab ko de rahī thī ḳhabar
na miTā de zulmat-e-dahr jo vo nishān-e-sajda-e-dar nahīñ
ye taġhayyurāt-e-jahāñ nahīñ asar-e-talavvun-e-tab.a hai
tirī ik nazar kā karishma ye falak kī gardish-e-sar nahīñ
kaho sham.a se ki ye naql kyā koī apnā qissa-e-ġham kahe
kare ab fasāne ko muḳhtasar ki mujhe umīd-e-sahar nahīñ
hai talāsh apnī faqat mujhe maiñ milūñ to hoñgī shikāyateñ
mujhe ab kisī se gilā nahīñ mujhe ab kisī kī ḳhabar nahīñ
yahī manzileñ haiñ vo manzileñ ki jahannam un se panāh le
dil-e-nā-shanās-e-rah-e-vafā mujhe koī ḳhauf-o-ḳhatar nahīñ
mirī ġhaflatoñ kā gilā na kar yahī nazm-e-kaun-o-fasād hai
ḳhabar is tilism-e-numūd kī mujhe ho chukī hai magar nahīñ
sabaq us se le ki ḳhabar mile tujhe aane vaale zamāne kī
hai taġhayyurāt kā aa.ina ye shikasta kāsa-e-sar nahīñ
ye haiñ daar terī nigāh ke kisī nā-tavāñ se rukeñge kyā
dil-e-dāġh dāġh-e-'azīz' hai sitam-āzmā ye sipar nahīñ
ye ghalat hai ai dil-e-bad-guman ki wahan kisi ka guzar nahin
faqat is liye ye hijab hai ki kisi ko tab-e-nazar nahin
kaho kuchh haqiqat-e-mushtahar ki mujhe kahin ki KHabar nahin
ye manazir-e-do-jahan hain kya jo fareb-e-zauq-e-nazar nahin
kisi aah mein nahin soz jab kisi nale mein jab asar nahin
ye kamal-e-sozish-e-dil nahin ye farogh-e-dagh-e-jigar nahin
chamak uTh rahi hai jo pai-ba-pai ye tajalliyon ka KHazana hai
ye hujum-e-barq-e-tapan nahin ye mata-e-dard-e-jigar nahin
ye hai ehtimam-e-hijab kyun ye hai band-o-bast-e-naqab kyun
tumhein aankh bhar ke main dekh lun wo nazar nahin wo jigar nahin
wo rahin-e-lazzat-e-gham hun main na mili azal mein jise tarab
main hi us karam ka tha muntazir main hi mustahiq tha magar nahin
kabhi waqt-e-naz-o-niyaz hai kabhi mahw-e-zulf-e-ayaz hai
magar us pe bhi dil-e-ghaznawi karam-ashna-e-nazar nahin
ye tayyunat-e-nizam the faqat ek parda-e-masiwa
KHabar us ki jab se hui mujhe koi is jahan ki KHabar nahin
tujhe kar-gah-e-fana bata inhi hastiyon pe ghurur hai
jo sharik-e-sud-o-ziyan nahin jo rahin-e-naf-o-zarar nahin
chamak ai charagh-e-zamir ab ki tulua mehr-e-kamal ho
wo lahad hun tira-o-tar main ki jahan bayaz-e-sahar nahin
na wo soz hai na wo saz hai na wo dil KHazana-e-raaz hai
wo sharar hun jis mein dhuan nahin wo hajar hun jis mein sharar nahin
nazar us ki hai meri samt abhi mera daman-e-goharin na dekh
abhi KHun-e-dil hai ruka hua abhi aansuon se ye tar nahin
chamak ai tajalli-e-dil-ruba nikal ai KHulasa-e-dua
ki nazara-e-do-jahan faqat ye maal-e-zauq-e-nazar nahin
ye jubba-sai-e-be-mahal mujhe shab ko de rahi thi KHabar
na miTa de zulmat-e-dahr jo wo nishan-e-sajda-e-dar nahin
ye taghayyuraat-e-jahan nahin asar-e-talawwun-e-taba hai
teri ek nazar ka karishma ye falak ki gardish-e-sar nahin
kaho shama se ki ye naql kya koi apna qissa-e-gham kahe
kare ab fasane ko muKHtasar ki mujhe umid-e-sahar nahin
hai talash apni faqat mujhe main milun to hongi shikayaten
mujhe ab kisi se gila nahin mujhe ab kisi ki KHabar nahin
yahi manzilen hain wo manzilen ki jahannam un se panah le
dil-e-na-shanas-e-rah-e-wafa mujhe koi KHauf-o-KHatar nahin
meri ghaflaton ka gila na kar yahi nazm-e-kaun-o-fasad hai
KHabar is tilism-e-numud ki mujhe ho chuki hai magar nahin
sabaq us se le ki KHabar mile tujhe aane wale zamane ki
hai taghayyuraat ka aaina ye shikasta kasa-e-sar nahin
ye hain dar teri nigah ke kisi na-tawan se rukenge kya
dil-e-dagh dagh-e-'aziz' hai sitam-azma ye sipar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.