Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye ghalat hai ye sal Thik nahin

Imran Shamshad Narmi

ye ghalat hai ye sal Thik nahin

Imran Shamshad Narmi

MORE BYImran Shamshad Narmi

    ye ġhalat hai ye saal Thiik nahīñ

    har ghaḌī malāl Thiik nahīñ

    zindagī ik ḳhayāl-ḳhāna hai

    aap ye ḳhayāl Thiik nahīñ

    phuul ko dhuul zarūrat hai

    is qadar dekh-bhāl Thiik nahīñ

    girne vaale ne sar uThā ke kahā

    in sitāroñ chaal Thiik nahīñ

    ā.īna-sāz Thiik kahtā hai

    shīshagar misāl Thiik nahīñ

    saath chalte raho magar ḳhāmosh

    is safar meñ savāl Thiik nahīñ

    aap ke nāḳhunoñ se yaad aayā

    mere zaḳhmoñ haal Thiik nahīñ

    itnī chhoTī baat par 'imrran'

    itnā gahrā malāl Thiik nahīñ

    ye ghalat hai ye sal Thik nahin

    har ghaDi ka malal Thik nahin

    zindagi ek KHayal-KHana hai

    aap ka ye KHayal Thik nahin

    phul ko dhul ki zarurat hai

    is qadar dekh-bhaal Thik nahin

    girne wale ne sar uTha ke kaha

    in sitaron ki chaal Thik nahin

    aaina-saz Thik kahta hai

    shishagar ki misal Thik nahin

    sath chalte raho magar KHamosh

    is safar mein sawal Thik nahin

    aap ke naKHunon se yaad aaya

    mere zaKHmon ka haal Thik nahin

    itni chhoTi si baat par 'imrran'

    itna gahra malal Thik nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now